Skip to main content

Posts

Showing posts with the label Aasgaduli.blogspot.com

Jo haazir hai...

Jo haazir hai... Jo hazir hai use dekho... Phir jo gayab hai use socho, Jo hazir hai tumhe usse ...jo gayab hai wo nazar ayega. Jo parda hai mustaqbil ka...wo samne se hat jayega. Yahi manzar hai duniya ka jo nazron se chup jata hai, Jo dekhe aas... haqeeqat se to mustaqbil samne ajaata hai.

Khuddari

Khuddari... Suna hai tu bada khuddaar hai, To mat guzar yahan se ye chaplusi k bazaar h, Gar guzra yahan se to qeemat iski chukani padegi... Apni khuddari yahan par gawani padegi.                                                                   Aas...

Tol-e-takallum

Tol-e-takallum... Daastan badi azeeb hai is ro-e zameen ki... Yahan baat jitni lambi hoti h... utni hi izzatein neelaam ki jati hein.                                                                           Aas...

Kis se

Kis...se Us raaste ke sitam byan karun mein kisse, Ki jisne manzil tak saath dene ka wada kya tha mujh se...?

Beautiful

What is the most beautiful thing in the world..?Which don't seen by us till now. Because... when we seen anything for a long time then in this thing we can watch some mistakes.

Chaplosi

Chaplosi... Gandi hein adatein meri...badal daloonga, Ab nhin teri zindagi mein khalal daloonga, Tu jab bhi mile mujhe ayena bankar milna, Chaplosi agar ki to masal daloonga.

Weird

Mene seekha tha paani se rawani rakhna, Jab tak na mile manzil...safar jaari rakhna, Aas...tujhe k-han ma-aloom tha ki kambakht ye paani kisi dam (talaab) ka hai...ki jiska kaam hi hai sirf kahani likhna.

Exam...confusion

Kali jainse gulab lagti h, kitaab dekho sharab lagti h... Nhin samajh aata kya kya padhoun yaro... sirf syllabus kholun to poori kitaab lagti h...😇😇

Exam...

Yaad nhin kuch bhi mujhe, fir bhi padhne ko dil nhin karta... Pata nahi akad gaya hon mein...ya fir bikhar gaya hon mein...😇😇

Naya saal

Naye saal me kuch naya hoga... January mein exam h...islye heart rate badha hoga...😂😁

Exam...

Khud ki khud se bagawat ho gayei, Exam date ki jab se ham par wazahat ho gayei... Sochte hn sab kuch padh lenge aj hi... Lekin kitabein jab kholte hn ham, Dimag ho jata hai foran garam... Aas...Lagta h ab to brain ki kitabon se adawat ho gayei.

Nazar...

Ye dunya wo dekhti h... Jo ham dikhana chahte hein, Lekin jab ham decide nhin karpate ke kya dikhana h aur kya nhin... To...dunya wo bhi dekh leti hai jo ham dikhana nhin chahte.

Baat...

Jo tum kaho aur koi na sune... To...tum wo kaho jo sab sunna chahte hein, Aur jab sab sunein tab... Tum wo kaho jo tum asal mein kehna chahte ho.

Qaul...

Jab daleelein kaam karna band kardein... To... aqal ke darwaze khol do. ...warna tum wo khodoge jiska tumhein gumaan bhi nhin.

Intezar...

Teri chah mein teri rah par, Fira hon mein yunhi dar-b-dar.. Mujhe gumaan tha ke tu ayega.. Islye gaya nhin mein shehar chodkar.. Na hi tu mila na teri khabar .. Meri arzoo ka qatl kar... Tu gaya mujhe yunhi chodkar...Tu gaya mujhe yunhi chodkar.

Yaden...

Ek din , ek safar... Ban gaye hamasafar... Kuch pal saath rahe ... Aur fir chal diye chodkar.

Haal e Mohabbat

Hal Kaisa hai Aur Mizaj Kaisa hai , Kal To Kal Tha Batao Aaj Kaisa hai, Hamare shaher me hai Log Mohabbat Ke Dushman Tum Batao Tumhare Shaher Me Rivaj Kaisa hai 

Chai

Insaan Ashraful Makhluqat hai, Aur Chai Ashraful Mashrubat ......

Nazar...

Nazar aur nazarya dono badal jate hain ... Jab waqt saath hota hai.

Saath...

Saath chalenge tumhare, gar tum kanton par bhi chalao... Par kainse chalenge saath...agar tum hi kanta ban jao...?