Khud ki khud se bagawat ho gayei, Exam date ki jab se ham par wazahat ho gayei... Sochte hn sab kuch padh lenge aj hi... Lekin kitabein jab kholte hn ham, Dimag ho jata hai foran garam... Aas...Lagta h ab to brain ki kitabon se adawat ho gayei.
Ye dunya wo dekhti h... Jo ham dikhana chahte hein, Lekin jab ham decide nhin karpate ke kya dikhana h aur kya nhin... To...dunya wo bhi dekh leti hai jo ham dikhana nhin chahte.
Teri chah mein teri rah par, Fira hon mein yunhi dar-b-dar.. Mujhe gumaan tha ke tu ayega.. Islye gaya nhin mein shehar chodkar.. Na hi tu mila na teri khabar .. Meri arzoo ka qatl kar... Tu gaya mujhe yunhi chodkar...Tu gaya mujhe yunhi chodkar.
Hal Kaisa hai Aur Mizaj Kaisa hai , Kal To Kal Tha Batao Aaj Kaisa hai, Hamare shaher me hai Log Mohabbat Ke Dushman Tum Batao Tumhare Shaher Me Rivaj Kaisa hai
Azeeb... Insan bhi kitna azeeb hai... Jo yaar sirf ek jagah h, use har jagah sochta h.. Aur Jo khuda har jagah h, use sirf ek jagah sochta hai...? Aas... Azeeb