Ek sach... Jo hum dekhte (sunte) hain... uska sach ya jhoot hona bahut had tak iss baat par bhi depend karta hai...ki hum wo dekh (Sun) rahe hain ya hmein dikhaya ja raha hai. Aas... Ek sach
Jo haazir hai... Jo hazir hai use dekho... Phir jo gayab hai use socho, Jo hazir hai tumhe usse ...jo gayab hai wo nazar ayega. Jo parda hai mustaqbil ka...wo samne se hat jayega. Yahi manzar hai duniya ka jo nazron se chup jata hai, Jo dekhe aas... haqeeqat se to mustaqbil samne ajaata hai.
Khuddari... Suna hai tu bada khuddaar hai, To mat guzar yahan se ye chaplusi k bazaar h, Gar guzra yahan se to qeemat iski chukani padegi... Apni khuddari yahan par gawani padegi. Aas...
Zid... Nazar hi jab nazara ban jaye, Gile shikwe bhool kar jab koi hamara ban jaye... Kyun nhin hoga us kitaab ka har (ek-ek) lafz yaad, Jab kitaab hi jeene ka sahara ban jaye.
What is the most beautiful thing in the world..?Which don't seen by us till now. Because... when we seen anything for a long time then in this thing we can watch some mistakes.
Chaplosi... Gandi hein adatein meri...badal daloonga, Ab nhin teri zindagi mein khalal daloonga, Tu jab bhi mile mujhe ayena bankar milna, Chaplosi agar ki to masal daloonga.
Aasgaduli.blogspot.com Zarurat... Guroor hai (ho sakta hai) had se jyada lekin magrur nhin hun mein, Mohabbat bhi hai be inteha lekin mazbur nhin hun mein, Agar zarurat padhi to dono ko kuchal dalunga... Are naram dil hun kathor (कठोर) nhin hun mein.
Mene seekha tha paani se rawani rakhna, Jab tak na mile manzil...safar jaari rakhna, Aas...tujhe k-han ma-aloom tha ki kambakht ye paani kisi dam (talaab) ka hai...ki jiska kaam hi hai sirf kahani likhna.